Indian Team Pahli baar New-zeland ke khilaf lagataar 2 T-20 Jeete

Indian Team Pahli baar New-zeland ke khilaf lagataar 2 T-20 Jeete , Dusre match me 7 wicket se haraya

Team India
Image Credit Denik Bhaskar


  • New Zealand ne132 run bnaye , Bharat ne 17.3 over me 3 wicket par 135 run bna liye 

  • Lokesh Rahul ne 57 or Saryes Iyear ne 44 run ki pari kheli , dono ne 86 run jode 

  • Series ka tisra mukabla 29th January ko Hemilton ke Sedon park me khela jayega


Bharat ne New Zealand ko panch T-20 ki series ke dusre match me 7 wicket se haraya. Auckland ke Iden Park par sunday ko khele gye match me New zeland ki team ne toss jeetkar balebaaji ka faisla kiya. Team ne 20 over me 5 wicket par 132 run bnaye. Lakshye ka picha krne utri Bhartiye team ne 17.3 over me hi 3 wicket par 135 run bna liye.

Bharat ne Phli baar T-20 me New zeland ko lagatar 2 match me haraya sath hi wah series me 2-0 se aage ho gya. usne phla match 6 wicket se apne naam kiya tha. dono teams ke bich 3rd match 29th january ko hemilton me khela jayega.

Lokesh Rahul ne career ka 11th Half-Century lagaya


Rahul ne Nabaad 57 run ki paari kheli yah unke career ka 11th half century hai. Saryes ne 44 run ki pari kheli. rahul or saryes ne 3rd wicket ke liye 86 run ki sanjhedaari ki. Saryesh ko Ish Sodi ne Tim Southee ke hatho catch karaya. Shivam Dubey 8 run bnakar nabaad rhe unhone 6th lagakar team india ko jeet dilayi.Rahul ko man of the match chuna gya. is se phle Opener Rohit Sharma 6 gend par 8 run bnakar out huye or tim sothee ki gend par Ross Tayor ne unka catch liya . Captan Virat Kohli 11 run bnakar out huye unko Tim Southee ki gend par catch out huye.

Guptil or Tim Seifert ne 33-33 run bnaye 


Newzeland ke liye Martin Guptil or Tim Seifert ne 33-33 run ki paari kheli. Bharat ke liye Ravindera Jadeja ne sabse jyda 2 wicket liye. Shardul Thakur, Sivam Dubey, or Jasprit Bumrah ko 1-1 wickets mile. NewZeland ke Captain Kene williyamson 20gend par 16 hi run bna ske. Jadeja ki gend par chahal ne unka catch liya. Guptil ne 4 choke or do 6 lagaye. Unhone colin Munro ke sath phle wicket ke liye 6 over me 48 run ki partnership ki. Munro 25 ball par 26 run bnakar out ho gye.Shivam Dubey ki Gend par Kohli ne unka Catch liya.

Grandhome Lagatar dusre match me flop sabit huye


Colin de Grandhome 3 run bnakar out ho gye Jadeja ne apni hi gend par unka catch liya. Vo pichle match me zero par hi out ho gye the.

Comments

Popular Posts

GT vs LSG Dream11 Team Match Prediction

RR vs KKR Dream11 Prediction 100% winning Team Today

WOR VS GLO DREAM11 PREDICTION